Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips

                                   Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips
Friends Aaj me batauga ki apne laptop ko kaise ek wi-fi hotspot banate hain or usse apne baaki device jaise mobile, tablat etc. ko connect kar internet access kar sakte hain. iski puri jaankari hindi me.

Friends aaj ke time me bine wi-fi Hotspot ya internet ke apna mobile kuchh nahi hain. aisa lagta hain jaise wifi ham sab ke liye oxigen ka kaam karti hain jahan wi-fi mila vaha time kaise nikal jaata hain pata hi nahi chalta. toh dosto isi baat ko dhyaan me rakh kar yaha main aapko kuchh steps bata raha hun jise aapko follow karna hain. Aapke laptop par hotspot start/on ho jaayega.

Ham mese jyada log abhi bhi nahi jaante ki Wi-Fi Hotspot kya hota hain unke liye sabse pehle ye jaan lete hain.

What Is Hotspot

Friends Wi-Fi Hotspot apne android phone ya laptop se dusre device me internet ka connection karne ka option hota hain. Jisse ham apne phone ka internet dusro ke sath share kar sakte hain.

Laptop Me Wi-Fi Hotspot Connection Banane Ka Tarika

Step 1.

Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips

Friends sabse pehle aapko yaha click karke My Wifi Router  App ko download karke apne laptop me install karna hain,Installed karne ke baad use open karna hain. Wo kuchh iss tarah show hogi. Yaha aap apne wi-fi ka hotspot connection creat kar sakte hain.

  • sabse pehle apne connection ka naam likhna hain.
  • Uske just niche password ka option hain yaha aap apne wi-fi hotspot connection ka password set kar sakte hain 
  • uske baad niche blue clour me activate free wi-fi par click karna hain. Uss par click karne ke baad ye green colour me deactive free wi-fi show hoga jab aap wi-fi use nahi karna chahte tab yaha se hotspot off kar sakte hain.

Step 2.

Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips

Ab jab aapne apne laptop se wi-fi hotspot connection creat kar liya hain. Ise apne android phone se connect karna hain iske liy.
  • sabse pehle apne phone ki setting me jaakar wifi on karna hain.
  • Wifi On karne ke baad aapko yaha apne laptop me banaye hotspot ka naam show hoga. Us par click karna hain.
  • Click karne ke baad ye password puchega. Jo laptop me password enter kiye the vhi password enter karne hain or connect par click karna hain. Aapka mobile connect ho jaayega wifi hotspot se thankyou.
Laptop Me Wi-Fi Hotspot Connection Banane Ka Tarika aapko kaisa laga hamei commant karke batahiye or ise apne friends ke sath socialsites facebook, google+ par jarur share kare thankyou.
Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips Computer Or Laptop Me Wi Fi Hotspot Kaise On Karte Hain Tips Reviewed by Seo Master on September 30, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.