Hello friends welcome to seokaise.blogspot.com...
To apne blogging me kadam rakhne ka faishla kar hi liya, that's great! Aaj kal blogging ki shuruat karna sabhi ne shikh liya hai aur ye bahut hi asan bhi hai,Aap kisi bhi toppic par achha sochte hai ya jankari rakhte hai to apke liye blogging asan ho jati hai.Aaj ham apse esi ke bare me charcha puri details se karenge kya wakai me blogging ko carrier ke taur pr manana hamare liye achha hoga!Eske bare me ham apse puri vistar me bat karenge!
yah bhi padhe-domain-name-kya-hai
Kya aap blogging ko lekar serios hai?Agar ha to apko blogging start karne se pahle kuchh important bato ko jarur jan leni chahiye.
so let's go...
Pura padhne ke bad dava karte hai ki apko hamare mehnat ka andaja jarur lag jayega.Agar aap blogging me apna shuruati kadam rakhna chahte hai to please aap es post ko last tk padhiye.
Mai aap logo ki madad karne ke liye blogging platform ki puri series www.seokaise.blogspot.compr start kar di hai! Aaj mai apko blogging ke fayde aur nuksan dono ke bare me bataunga.Yah mere blogging series ka first part hai.
also read- new blogger के लिए 10 हिंदी टिप्स
We’ve laid out a perfect roadmap for indianwinners.
Kya aap blogging karna chahte hai? Agar ha to kya blogging aap ke liye sahi hai.En sare sawal ka jawab aap kud se puchhe.Usake bad hi faisala le.Adhiktar blogger income karne ko lekar blog banate hai esame koi sak ki bat nhi hai ki pro blogger blogging se lakho rupaye kamate hai.Lekin mai yh bhi ykin se bol sakta hu ki we apne blogging ko lekar serios hote hai.Unke post time to time aate rahte hai.Blogging carrier me sabse main jo hota hai wo hai achhe containt wo bhi khud ka lika hua kisi ka copy kiya hua nhi hona chahiye.Agar aap apne contant ko lekar nischint hai to app bloggig karne me jarur kamyab honge.
Blogging se paisa kamana na hi asan kam hai aur na hi kathin.Agar aap kisi bhi work ko serios karte hai to aap jarur safal ho jayenge.Aap ko blogging ka thoda bhi jankari hai to aap apne knowledge ko internet pr share kar ke bahut paisa kama sakte hai aur es bare me aap logo ko achhe se pata chal gya hoga,but paise kamane ke liye aap ko mehnat karna padega!
Bahut se log aise hote hai jinko blogging ke bare me puri details nhi hoti hai aur wo blogging start kar dete hai lekin aise log paisa kamane me nakam ho gate hai aur ant tak we blogging chhod bhi dete hai!aapko aisa nhi karna hai.Apko pahle planning karni hogi eske bad hi blogging karne ki sochiyega!
Agar apko blogging me hi apna carrier banana hai to suru karne se pahle uspr vichar kijiye 30 se 40 achhe post suruaat me likhiye uske bad aap continue ho jayiye.Mai edhar kuchh point pr discuss kiya hu jo aplogo ko right decision lene me madad karega ki blogging apke carrier ke liye sahi hai ya galat.
Blogging ke requerments=
1=Computer/Laptop
2=Domain name
3=Webhousting
4=Writting skiles(eng or hindi and maney more)
5=Time(2 to 3 hour it's important)
6=thoda bahut technical knowledge(basic)
Note=Agar aap new blogger hai aur domain name ,webhousting nhi le pate hai to bhi aap blogspot ko free me use kr sakte hai.
also read- facebook Id block क्यों होती है ?
Ellegibilty=
Perhaps bahut se logo ko Blog word sunate hi unke man me ek question aa sakta hai . Ki blog kya hota hai aur blogging kise kahate hai ? Blogging ek type ka online work hota hai jisme aapko apne blog pe daily work karna hota hai.simple shabdo me bolu to blogging karne se matlb hai kisi toppic pr likha kar internet pr share kar dena!hai n simple jaise aap apne copy pr pen se likhte hai waise hi apko online likhna hai !
Ab apke man me ek question hoga ki blogging kaun kar sakta hai eske liye kisi elligibility ki jarurat hoti hai?Apko blogging karne ke liye kisi bhi elligibility ki jarurat nhi hai bs aapko apne knowledge writing ke dwara achhe se internet pr share kanna aana chahiye ,Aap chahe students ho houswife ho ya any person jo kisi bhi toppic pr likh sake wo blogging kar sakta hai.
Long term ke blogger kya karte hai jisase we apne blogging me safal ho jate hai
Blogging ke jariye aap internet se paisa kamane ke sath apni khud ki pahchan bhi bna sakte hai.Aap ko kisi bhi toppic pr achha knowledge hai to aap use blogging ke jariye internet pe share kare aur apna fan clube banaye.Agar ham ek long term ke blogger ke bare me bat kare to jise aap pro blogger bhi bol sakte hai unke andar jo bhi talant hota hi wo bakhubi se logo ke samne pesh karte hai jise log pasand bhi karte hai.Es prakar ek aisa samay bhi ata hai jisase uski lokpriyta bad jati hai!agar aap bhi blogging me carrier banaa chahte hai to apko sabse pahle ek achha toppic select karna padega jisme aap expert ho aur asani se logo ko apne writing skil ki madad se samjha sake.
Yha pr mai apko kuchh toppic suggest karta hu ...
Aap In Me Se Kisi Bhi Topic Pe Blogging Shuru Kar Sakte Hai
1 =Technology
2 =Life Style
3 =Fashion
4 =Food
5 =Beauty
6 =Animals
7 =Travel
8 =Electronics
9 =Relashionships
10=Finance
--Uppar maine jitane bhi toppic aap ko suggest kiya we high paying niche(toppic) hai!
Proffetional blogger apne topic pr expert hote hai unko us toppic pr achhe knowledge hoti hai.Aapko usi toppic ko chose karna hai jisme aap ko knowledge jyada ho mai ye nhi bota ki aap bs usi toppic pr likh sakte hai jisme aapko pahle se knowledge hia ya honi chahiye.Aap pahle shikhe uske bad us toppic ko achhe se describe kare.Agar apko jis toppic pr achhe se knowledge hogi to aap describe bhi dusro se accha karenge.Apko jankari hone ka main perpos hai agar aap se koi apke toppic pr koi sawal kare ya madad mange to aap ko jawab aana chahiye aur aap puri kosis kare ki achhe se apne readers ko satisfy kare!
Aap kisi dusare blogger ka copy paist na kare esase apka samay bakar me jaya hoga aap apne toppic ko apne sabdo me samjhne ki koshis kare.apko bas wahi sab share karna hai jisme aap expert ho.Esase apke vissiters incries hognge,
Kahi aap likhne se bor to nhi hote ==
Ji ha aap ka sabse important work hai containt,aur aapko achhe containt ke liye achhi writting skil hona jaruri hai.Agar apki writting skil utani achhi nhi hai to bhi aapko pareshan hone ki jarurat nhi hai aap kisi achhe proffetional blogger ke containt ko read karke apni writing skils improve kar sakte hai.Lekin aapko likhna padega aap blogging chose karne se pahle khud ko ajma le ki aapko likhne me jyada pareshni to nhi ho rhai hai.Blogging ka 90 % yhi hai ki aapko khud likha hua containt share karna hai agar aap likhne me borring fill karte hai to aap ko apni adad shudharni padegi!
Agar apko kisi chij me maharath hasil karni hai to aapko bahut mehnat karni padti hai aapko kam se kam daily 2 post karni hai esake liye apko atleast 6 hours time dene padenge
tabhi aap apne writing skil sudharne ke sath achhe blogger ban sakte hai.Bahut bar hota ye hai ki blogging ka sauk chadhne ke wajah se blogging me kadam to rakhte hai lekin dhire dhire unko boring hone lagti hai ye unhi ke sath hota hai jo jyada likhna pasand nhi karta.Aap likhne ki skil apne pas nhi rakhenge to blogging aap ke liye muskil ho sakti hai.
Waise agar aap paise dekar containt kharidate hai to bhi aap blogging kar sakte hai lekin esme aapko personaly enjoiy nhi mil payegi work whi kariye jo aapko achha lage.Conclusion ye hai agar apko likhna pasand nhi hai to aap blogging ko na chose kare.
also read-एडसेंस क्या होता है इससे पैसा कैसे कमाते है जाने एडसेंस के बारे मेंgoogle adsence kya hai in hindi
Kitana samay dena padega blogging ke liye =
Aap blogging ko part time ke liye bhi joine kar sakte hai esme time ki koi requerment nhi hoti hai ye apke uper hai ki aap apne blog ke liye kitana time dete hai.Lekin mai ye bat apko bta du ki aap ko kam se kam daily 3 hours dena hi padega.Apko 1 post likhne me 1 se 2 hour lag hi jayene!koshis karte rahiye aap daily kam se kam 1 post jarur publish kar sake.
Agar aap blogging ko full time joine karte hai aur aap new blogger hai to apko kam se kam daily 6 to 7 hours time dena hoga full time blogging me aap target bana le ki aap ko kam se kam daily 2 post publish karna hai.Apke blog me jitane post honge utni hi search rankig badhegi.Blogging se paisa kamane ke liye apke blog me kam se kam 200 achhe post honge tbb aapki income ki shuruaat hogi!part time blogger ko paisa kamane me thoda samy lag sakta hai.
Keep patience yourself=
Blogging as a carrier banane ke liye aap ko smart work karne ki jarurat padegi!blogging karna bahut hi laborios work hai aur apko income karne me bhi kafi samay lagta hai apke blog me 200 achhe contant jab tak hote hai kafi samay ho jata hai aur income bhi kuchh nhi hota hai tb apko ek bar lagega ki blogging chhod deni chahiye.But jo log eske wawjud bhi apne blogging pr lage rahte hai wahi success hote hai.Apko blogging se paisa kamane ke bare me at least 1 year tk nhi sochna chahiye kewal mehnat karna chahiye post crriate kare es 1 year me bina paise ki lalach se.
Esi ko aap bol sakte hai patience jo har blogger ke liye important hai.agar apke man se income wali bhawana hat jaye kewal 1 year tak tb apko blogging se paisa kamane se kai nhi rok sakta!agar aap quick money earn karna chahte hai to aap ye mera post padh sakte hai.
Blogging ko carrier manane ke liye apko patence ki jarurat padegi agar aap patence nhi rakh pate to blogging apke liye nhi bani hai !
Blogging se earning karne ke liye kitana samay lagega=
Blogging ek lamba safar hai esako safal banae ke liye apko rato rat mehnat kari padegi.Lekin mehnat karne ke bad bhi apko blogging se paisa kamane ke liye kam se kam 1 year tk lag sakta hai! basicaly ye apke contant pr nirbhr karta hai agar apke website pr pagview achhe hai to aapki asani se earnning hone lagti hai.Generaly 1 year tak samay lag sakta hai achhe paise kamane ke liye apke blog me 100 se 200 post hone chahiye.
Blogging ke fayde==
blogging karne ke bahut se fayde hai
1=Internet ki duniya me apna brand pahchan bna sakte hai
2=Blogging se aap lakho rupaye kama sakte hai paisa kamane ki koi limite nhi hai
3=App blogging ko lekar koi chinta nhi kar sakte apko apne time management ke anusar kam kar sakte hai
4=Apna boss kud ban sakte hai esame apko puri tarh se ajadi hai
5=Apke writing skils me improve hoga
6=Aap apne blogging contant ka ebook paublish kar sakte hai
7=Better communication skil
8=Apne work ko lekar karne ya na karne ki azadi
and many more...
Blogging ke nuksan=
Agar aap blogging karne me able hai to mere anusar blogging ke koi nuksan nhi hai esme aapko carrier banane ka mauka hai aane wala samay internet ki duniya me bahut badlaw aa sakta hai aur aapko aage badhne ke chances bahut hi jyada hai.
Es post me etana hi agar apko ye post achha laga ho to please ese social media pr jarur share kariye jisase aur log bhi padh sake aur achhe se dissision le blogging ko lekar.
Agar aap ka koi bhi question hai to ap comment kar ke puch sakte hai.
thanks for reading..
Blogging as a carrier righte or wrong full guide in hindi
Reviewed by Seo Master
on
February 05, 2017
Rating:
No comments: