Meta Tag Kya Hai,Blog Ya Website Me Meta Tag,Description code Kaise Aur Kyu Add Kare-
Hello friends,
Ummid hai aapne abhi tak bahut sare blog bna liye honge.Ab hame jarurat hai un blog ko google search me aage le aane ki.Jitana asan blog banana hota hai sahyad utana hi kathin hota hai blog ko google me page rank karwana.So esake liye aapke pas bahut sare opption hai jaisa ki madam se aap apne blog post ko search result ke top rank me la sakte hai.Blogspot per blog seo friendly hota hai kyoki google ke dwara aapko meta tags aur meta description provide kiya hua hai.But aapko kuchh contant ke liye apne se seo karna hoga jisake bare me aaj mai puri details se jankari provide kiya hu.
Maine apne es website seokaise.blogspot.com per blogging kaise kare se related sari jankari puri details me share kiya hu.Aap hamare har post ko padh sakte hai.ye hamare blogging series ka 10th part hai jo seo se related hai.
Aap ko apne har post ka meta tags banana hai aur use apne template me dalna hota hai.Har ek post ke liye meta tag aapke blog ko seo friendly banayega.Apne blog ko search engion me lane ke liyemeta tags sabse jyada important hota hai.Meta tag ki madad se aap apne blog me search related keyword dalte hai jo aapke blog ko search result me aage lane me help karta hai.Aaj mai aapko Meta tags ke bare me puri jankari dunga usake liye aap ye blog last tak padhe.
What is Meta tags ? Meta tag kya hota hai?
Meta tags hamare blog ke main keywords,title,description,language,author,country ke sari jankari ka html codehota hai.Aap ko apne her post ke liye alag alag meta tags banaker apne template me uplode karna hai.Search engion like google yahoo bing etc apke blog ke meta tag ke jariye aapke post ko jan pate hai ki aap ka post kisake bare me hai.Jaise aap agar kisi bhi website ko search karte hai to sabse pahle aapko us website ka title show hota hai usake niche website ka url aur usake niche website ka description show hota hai.Ye jitane bhi result show hote haiwo aapke meta tag ke madad se show hota hai.
Meta tags ke code me kya-kya hota hai?
Meta tags me aapko apne blog ka important part add karna hai jo apke blog ko search me show ho jaye.Mai yaha per wo sare terms ko bataunga jo aapke blog ke meta tags me jaruri hai.Meta tags me ham title description aur main keyword etc add karte hai jinko mai details me niche bataya hu.
1-Meta tags me aapko apne blog ka uniqe title choose karna hota hai,
2-Aapko apne blog ke bare me batana hai ki wo kisase related hai
3-Aap apne blog ke dwara logo ko kis toppic per jankari share karte hai esake
bare me batana hoga
4-Aap ke apne blog ka language choose karna hota hai .
5-Aapko apne blog ka author dalana hota hai apke blog ka writter kaun hai
6-Apne blog ki targeted country ko choose karna hota hai.
Blog me meta tags ko add karne se kya fayda hota hai ?
1-Apne blog me meta tags add karne ke kya fayde hai ye bhi mai aap ko btata hu.Meta tags ko apne blok ke template me add karne se ham search engion ko ye batate hai ki hamara blog kisase related hai ya kisake bare me hai,es prakar google apne search result me aapka page search ke anusar provide karata hai.
2-Apke site ke keyword ke madad se apka page rank karta hai.
3-Meta tag ko jodane se hamare blog ki ranking increase hoti hai.
4-Meta tags ko add karne se hamare blog ko koi nuksan nhi hai balki esase baht sare benefits hai,Apko esaka prayog jarur kana hai.
Meta Tags code kaise banaye?
Uppar maine aap logo ko meta Tags ke bare details se bataya.Ab aapko apne blog me meta tag uplode karna hoga.Mai aapko bataunga ki aap meta tags generate kaise karenge.Waise internet per bahut sare free me Meta tags generater tools uplabdh hai.Meta tags generate karne se pahle mai apko usake bare me puri jankari bata deta hu jisase aapko bad me koi problem nhi aaygi.
1-Description-Esame apko apne blog ke bare me 150 charecter me likhnahai.Aapke blog ka description kuchh aisa hona chahiye jisko padhne ke bad ye mallumchal jaye ki aapka blog kisase related hai ap apne blog ke dwara logo ko kya batane wale hai.
2-Keyword-Keyword apke blog ka sabse jaruri part hai seo me 90 % keyword se hi apke blog search engion me rank karta hai.apko apne blog ke liye kuchh important unique word choose karna hota hai.Jaise mera blog blogger se related hai to mere kuchh important keyword hai-make money online,blogger tutorial,wordprres guide,seo tips etc.Apko bhi apne blog ka keyword choose karna hai.
3-Author-Auther me apko apne blog ka admin name choose karna hai
4-Language-Esme apko apne blog ki bhasha likhni hai jaise agar aap apne blog ko hindi me likhte hai to aap esme hindi choose kare.
5-Robot-Robot ke jariye aap apne blogg ke containt ko google search me hide aur show kar sakte hai apko ename aal select karna hai.\
6-Country-esame aap apne blog ke vissiter ko target karte hue apna country choose kare .
So ab aap meta tags se related sare terms ko achhe se samajh liye hai ab ham apna meta tags html code generate karenge.Meta tags generate karne ke liye aap META CODE GENERATER per click kare.
AB apne meta tags generate kar liya hai ab ese blog me add karna baki hai to chaliye ham apne blog me meta tags ko bhi add kar lete hai.
Meta tag ko blog me kaise add kare ?
Meta tags ko blog me add karna bahut hi asan hai,apko apne blog ke template me html code dalna hai.
so let's go...
STEP 1-
1-Sabse pahle app apne blogger dashboard per login ho jaye.
2-Ab dhashboard ke template per click kare
3-Template per click karne ke bad edit html per click kare
STEP 2-
1-Ab apke shamne template ke sare code dikhenge code ke andar kahi per bhi ctrl+F press kare aur <head>search kare
2-Ab meta code ko <head> ke niche paste kare
3-Save Template per click kare
Ab finally apka meta tags apke blog me upload ho gya hai.Maine yha per meta tags ke bare me sare terms achhe se samjhane ki koshis ki hai fir bhi agar aap ko koi problem aati hai to aap comment karke puchh sakte hai.Agar apko ye post pasand aaya ho to please social media per jarur share kijiye.Sath me hamare feed subscribe bhi kar le yah bilkul free hI.
Meta Tag Kya Hai,Blog Ya Website Me Meta Tag,Description code Kaise Aur Kyu Add Kare
Reviewed by Seo Master
on
February 17, 2017
Rating:
No comments: