Powered By Blogger ko kaise remove / delete kare?
Hello friend agar aap blogspot blogger per apna account create kiye hai to apko ek apne blog per powered by blogger ka attribution show hota hai.Jo apke blog ke brand ko puri tarh se bigad deta hai.Aaj mai apko powred by blogger ke attribution ko hide karna bataunga.Apke blog me blogger ka lagaya hua attribution ke jariye viewer ko pta chal jata hai ki apka blog blogspot per hai,esme koi problem nhi hai but sabhi log chahte hai ki unke blog ka khud ka lebel ho blogger ya kisi aur ka nhi.Maine apne pichhali post me aapko bataya hu ki apne blog me blogger ka logo hata kar apna khud ka logo ya favicon kaise use kare.
Maine apne website indianwinner per blogging se paisa kaise kamaye se related bahut sare post already kar chuka hu aap hamara anya blog bhi padh sakte hai.Yah blogger series ka 12 th part hai.
Powered by Blogger ko attribution bhi kaha jata hai and ise hide bhi kiya ja sakta hai jisse delete karna ki jaroorat nahi padegi.Powered by attribution ko hata kar ham apne blog kA LOOK website ke tarah se kar sakte hai.Koi bhi new publisher sabse pehle blogger se hi apni website start karta hai because Blogger free hota hai and seekhne ke liye bhi accha hota hai.Agar aap apna blog blogger per banate hai to kuchh es tarah se apke blog me powered by blogger likha rahta hai.Ab ham ese apne blog se remove karenge.
Powered By Blogger ko kaise remove / delete kare?
1-First method-
Powered by Blogger remove karne ke liye aapko remove link chaiye or uske liye kuch simle steps follow kijiye and powered by blogger delete ho jayega ya Hide ho jayega.
STEP 1-Sabse pehle apne blog par jaiye and login karke Template par click kare phir Edit HTML par jaye.See below image-
STEP 2-Edit HTML par click karte hi aapko sabse pehle attribution ke widget ko search karna hai to uske liye aap neeche image ke according Jump to widget par click kare, ek drop down menu ayega usme aap Attribution1 par click kare.
Upar image me dekh sakte hai ek code ko highlight kiya hai red colour ke line se jisme likha hai –
<b:widget id=’Attribution1′ locked=’true‘ title=” type=’Attribution’>
Is code me se aap true (jo red colour me hai) ko delete karke false likhe and save template par click kare ya save kare.
Ab etana karne ke bad apke blogger attribution me remove ka opption show hone lagta hai.
STEP 3-Ab aap layout ke opption per jaye.Aapke layout me upper ya niche Attribution ka widget dikh jayega ab usper click karke remove kar de
2-Second method-Powered by Blogger ko hide karne ki step.
STEP 1-Sabse pahle aap template<<customize per click kare aur niche diye gAYE css code ko copy kare
STEP 2-Ab aap sabse niche Advance per click kare.Aapko yha per bhi bahut sare option dikhenge sabse last me apko Add CSS ka option dikhega Ab add CSS per click kare.aur upper se copy kiye huye code ko blank box me paste kar de.
Step 3- Ab aap apne blogger me layout per jakar attribution widget remove kar de.
Agar aapko eske bad bhi Powered by Blogger ko hide karne me koi problem aa rha hai to aap comment box me apne question puchh sakte hai.Agar aapko yah jankari pasand aayi ho to share jarur kariye aur hamare blog ka feedsubsciption jarur le yah bilkul free hai.
Powered By Blogger ko kaise remove / delete kare?
Reviewed by Seo Master
on
February 20, 2017
Rating:
No comments: