Online mobile recharge karne ke bahut se tarike aaj internet par available hai. Online mobile recharge karna bahut aasan bhi hai. Lekin kya aap jante hai ki aaj India me kaise lakho log hai……Jinke paas android mobile phone, internet connection hai phir wo online mobile recharge karna nahi jante.
Agar aap bhi online mobile ko recharge karna nahi jante to ye articlee aapke liye hai. Is article me aap paytm se online mobile recharge kaise kare/online mobile karne ka tarika kya hai with cashback sikhenge step by step.
Maine apne website indianwinners per online paisa kaise kamaye aur free me blog ya website kaise banaye se related bahut sare post already publish kar chuka hu aap hamare aise hi any interesting blog read kar sakte hai.Friends mera ek youtube channal hai jisaka nam ''Tech 20 With Shubham'' hai aap hamare channal ko subscribe karna na bhule mai yha per daily new video lata hu jo tech se related hota hai wo bhi hindi me so subscribe my channal if u want.
Online Mobile Recharge Kya hai ?
Internet ke jariye mobile phone me paise dalna/balance dalna hi online mobile recharge kehlata hai. Aapko apne phone me paise dalwane ke liye market ya mobile recharge store par jana nahi padta. aap ghar baithe apne mobile phone recharge kar sakte hai. internet par bahut si website aur apps hai jinse mobile ko online recharge kar sakte hai.Online Mobile Recharge Kaise Kare
Online mobile recharge karne ke liye internet par bahut si website and apps available hai, lekin inme se kuchh website and apps best hai. main paytm se online mobile recharge karta hoon, ye bahut hi popular website hai. India ki sabse badi online recharge company Paytm se onilne mobile recharge karna bahut hi aasan hai. sath me aapko cashback bhi milta hai. aap paytm se 1 lakh rupaye tak ka enaam pa sakte hai.STEP – 1 : Create a new account
- Log In/Sign Up par click karke aap aasani se new account bana sakte hai.
STEP – 2 : Add money
- paytm account login kare
- paytm wallet par click kare
- amount add kare
- promo code add kare( available hai to nahi to is option ko chhod de.
- Add Money to Wallet par click kare
- Payment method choose kare
- apne card ka number add kare
- eixpiry date and CVV code add kare
- Pay now par click kare
Aapke mobile par otp code aayega payment complete karne ke liye otp add kare.
ab aapke paytm wallet me paise add ho chuke hai
STEP – 3 : Recharge your mobile
- mobile number add kare
- operator automatic select kare
- amount add kare
- proceed to recharge par click kare.
- Promo code add kare(available hai to)
- Proceed to pay Rs…. par click kare
1-pay now par click kare
2-ab aapka mobile online recharge ho chuka hai, aap balance check kar sakte hai.
I hope aapko article zaroor pasand aaya hoga.
Agar aapko online recharge karne me koi problem aaye to comment box me likhe, main jald se jald reply karunga.Article ko apne friends ke sath zaroor share kare sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Online Mobile Recharge Kaise Kare with Cashback-Paytm
Reviewed by Seo Master
on
March 27, 2017
Rating:
No comments: