Adsense Hosted Or Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai-

Adsense Hosted Or Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai-

Hello friends Welcome to indianwinners.Friend apke man me ek question hoga ki Adsense Hosted Or Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai to aaj mai esaka answer apko detail me provide karne wala hu. Adsense me 2 tarah ke account banaye ja sakte hai, Jab aap apne site ke liye adsense account banate hai tab adsense aapko Non-Hosted account provide karti hai aur wahi dusri or agar aap Youtube se paise kamane ke liye account create karte hai tab ye aapko Hosted account provide karti hai, Ye hosted vs non-hosted account kya hai aur In dono me difference kya hai chaliye Ish post me jante hai.

Blog aur Youtube se paise kamane ke liye adsense se badiya advertiser network or koi nahi hai, adsense aapko wo sabhi High Quality Ads provide karti hai jo ek badiya ad network aapko premium member banne par karta hai, Adsense se paise kamane ke liye isme aapko account banana hota hai aur wo aap 2 tariko se isme account bana sakte hai lekin usse pahle aapko kuch bato ka dhyan rakhna chahiye jisme se ek baat hosted Vs no hosted account bhi samil hai.
Adsense me aise bahut si chije hai jise aapko janna bahut hi jauri hai, maine pichle apne kai Posts me adsense se related information share ki hui hai agar aapke pass waqt ho to un sab ko posts ko ek bar jarur padhiye, Hosted Or Non-Hosted kya hai chaliye sabse pahle iske bare me jante hai baad me inke bich ki difference aur revinue ke bare me baat karege.

Adsense Me Hosted Account Kya Hai?

Ye wo account hoti hai jo sirf Google partner dwara approve ki jati hai, Jaise agar aap Blogspot or Youtube ke liye adsense account banayege to Google aapko Hosted account provide karegi, Hosted account sahi mayne me sirf Google ke verified site ke liye ache hote hai jaise agar aapke pass koi Youtube channel hai to isse aap easily apne Videos ko monetize karke earning kar sakte hai, Hosted adsense account ko youtube se approve karna bahut aasan hota hai.

Adsense Me Non-Hosted Account Kya Hai?

Ye wo account hote hai jise aap kisi bhi hosted site jaise wordpress or thubmlr me kar sakte hai, Ish non-hosted adsense account ke liye approval pana bahut hi muskil hota hai par milne ke baad isse bahut achhi earning hoti hai, Low traffic me bhi isse bahut jyada earning hoti hai lekin iske liye adsense ki policies ko follow karna padta hai, Ish Non-Hosted account ko aap lagbhag sabhi domain me use kar sakte hai.

Adsense Hosted Vs Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai?

Hosted Or Non-Hosted account me bahut difference hota hai aur sabse jyada difference iske revienue me hota hai, Agar aap Hosted adsense account ko apne wordpress blog me lagate hai to usse kamai na ke barabar hoti hai aur kisi kisi blogs me to iske ads bhi show nahi hota hai, aap Hosted vs Non-Hosted me kya difference hai niche bataye defination se samjh sakte hai.

Hosted Adsesne Account – 

Ish tarah ke account ko approve karne me jyada waqt nahi lagta hai aur isko Youtube se aap easily approve kar sakte hai, Isko specially youtubers ke videos ko monetize karne ke liye banaya gaya hai, Ish account se aap Mobile apps ko monetize nahi kar sakte hai, Ish account se sirf wahi sites ko monetize kiya ja sakta hai jin sites ko google verify karta hai, agar aap wordpress Hosted site se paise kamane ke bare soch rahe hai to Adsense Hosted account ke ads apne site me nahi lagaye kyuki isse earning nahi hogi.

Non-Hosted Adsense Account-

 Ish account ko approve karne me bahut papad belne padte hai, par approve ho jane ke baad isse earning achhi hoti hai, Koi bhi Publisher ise aasani se apne site me use kar sakta hai, Ish account me Multiple website ko monetize kiya ja sakta hai, Inke ads ko Mobile apps me aasani se show kar sakte hai.

Conclution –

To dosto ab aap jaan chuke hoge ki Adsense hosted vs non-hosted account me difference kya hai, ab aapke man me ek sawal utha hoga ki hosted account se earning kar sakte hai ya nahi? to mera jawab hoga Ji nahi, Hosted account sirf Blogspot user’s aur Youtuber’s ke liye best hai agar aap apne Hosted account se paise kamane ki soch rahe hai to adsense ka Non-Hosted account ka use kariye.

To dosto aapko hamari ye jankari kaisi lagi agar aapko ish post adsense me hosted vs non-hosted account kya hai aur dono me kya difference hai se related kuch sawal puchna hai to aap hame comment kar sakte hai aur agar aapko hamari ye post pasand aayi to ise jarur share kariye sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai. 


Thank you....Regards from Indianwinners
Adsense Hosted Or Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai- Adsense Hosted Or Non-Hosted Account Me Kya Difference Hai- Reviewed by Seo Master on April 03, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.