Google Adsense Par Account Banane Se Pehle Kuch Bato Par Bhi Dhyan Dein.
Hello friends Welcome to Indianwinners.Agar apne abhi tak adsense ke liye apply nhi kiya hai aur ab apko lagta hai ki adsense approval ke liye apply karna chahiye to apply karne se pahle kuchh bato ka dhayan dena bahut hi jaruri hai jo mai es post me share kiya hu.Aj Ki Date Main Sab Google Adsense Ka Use Karke Paise Banane Ke Chakkar Main Hain. But Ajkal Google Adsense Account Asani Se Bhi Approve Nahi Hota. Agar Apko Apna Adsense Account Approve Karwana Hai To Apko Kuch Baton Par Vishesh Dhyan Dena Hoga.
Apko Pata Hoga Ki Google Adsense Pure Vishv Ka Sabse Bada Ad Network Hai. Jo Ki Ads Par Click Hone Par Apko Uska Paisa Deta Hai. Esme Click Par Jo Paisa Milta Hai Wo Dusre Network Se Jada Hai, Elsiye Google Adsense Ko Kafi Bloggers Like Karte Hain Or Eski Approval Pana Chahte Hain. Esliye Adsense Bhi Asani Se New Account Ko Approval Nahi Deta Hai.
Hum Kafi Galtiya Karte Hain Or Hamara Addsense Account Approve Nahi Ho Pata. Eske Liye Apko Ye Janna Hoga Ki Hum Kaise Ye Approval Le Sakte Hain. Approval Ke Liye Kuch Policy Hoti Hain Jo Apko Puri Karni Hoti Hain, Jab Apki Sabhi Policies Complete Ho Jaye To Ap Account Ke Liye Avedan Kar Sakte Hain.
Before Applying For Google Adsense follow some usefull tips
1. Blog Ki Language.
Sabse Khushi Ki Bat To Ye Hai Ki Ab Google Adsense Hindi Language Blogo Or Sites Ke Liye Bhi Approval Deta Hai. Lekin Ap Soch Rahe Honge, Ki Jo Old Sites Thi Un Par Fir Ads Kaise Dikhte The?Jin Websites Owners Ne Adsense Ki Starting Main Jo Account Banaye The, Unke Account Se Liye Gaye Code Hindi Sites Par Work Karte Hain. Ya Fir Ek Tarika Yeh Bhi Hai Ki, Ki Pehle Aap Ek Acha Sa Eglish Mai Blog Create Kijiye, Fir Uski Approval Lijiye, Agar Wo Approval Mil Gaye To, Fir Ap Apne Adsense Code Ko Apni Hindi Website Par Bhi Laga Sate Hain, Lekin Apko Ye Pata Hona Chaiye, Ki Website Par Add Tabhi Approve Ki Jati Hai Jab Apki Website Par Acha Traffic Araha Ho.
2. Gopniyata Niti Nirdharit Kare – Declare Privacy Policy
Kafi Aise Bloggers Hain Jo Sochte Hain Ki Blog Par Privacy Policy Banane Ka Koi Matlab Nahi Hai, Lekin Wo Puri Tarah Wrong Hain, Ye Un Reasons Main Se Ek Hai, Jab Apka Account Approval Nahi Kiya Jata.Ek Declare Privacy Policy Mai Es Bat Kar Declare Kiya Jata Hai, Ki Readers Apke Blog Par Kya Vishya Vastu Prapt Karega, Usse Wo Kis Tarah Use Kare Sakte Hain, Or Kis Tarah Nahi. Elsiye Declare Privacy Policy Rakne Main Koi Burai Nahi Hai, Balki Ye Apke Account Ko Approval Ke Liye Jaruri Hai.
3. About Us Page.
Ap Google Adsense Account Ke Liye Avedan Kare Ya Nahi Kare, Fir Bhi Apke Blog Ya Website Par About Us Page Hona Kafi Jaruri Hai. Bat Jab Google Adsense Account Par Ati Hai. To About Us Page Ka Apke Website Ya Blog Par Hona Kafi Jaruri Hota Hai. About Us Page Mai Ap Apne Or Apke Blog Ke Bare Mai Information Provide Karte Hain, Aisa Karne Se Ye Apke Or Apke Readers Ke Bich Mai Ek Acha Relation Or Trust Ko Majbut Banata Hai.4. Contact Us Page
Ye Bat Jaruri Nahi Ki Jo Bat Apko Achi Lage Wo Dusre Ko Bhi Utni Hi Achi Lage, Sabki Apni Apni Rai Hoti Hai. Esliye Readers Ki Rai Ko Prapt Karne Kliye Contact Us Page Kafi Jaruri Hai. Es Page Ke Through Koi Bhi Apse Asaani Se Contact Kar Sakta Hai.5. Name And Email Verification.
Ap Apne Name Or Email Address Ko Apne About Us Page Par Jarur Mention Karein. Ye Bilkul Clear Dikhna Chaiye. Esse Adsense Team Ko Ye Clear Ho Jayega K Ap He Es Blog K Asli Owner Hain.6. Age Verification
Google Adsense Ki Approval Ke Liye Age 18 Honi Chaiye Or Sath He Apke Pas Koi Sarkari Pehchan Patra Bhi Hona Chahiye.7. Number Of Post For Adsense Approval.
Apne Kai Jagah Padha Hoga Ki Yeh sure Nahi Hai Ki Post Limit Kitni Honi Chahiye Approval Ke Liye. Lekin Fir Bhi Dhyaan Rahe Ki Kam Se Kam 25 Posts To Apke Blog Par Jarur Hone Chahiye. Jo Ki Kisi Or Website Par Na Ho, Post Achi Hone Chaiye Or Kam Se Kam 500 Words Ki To Jarur Honi Chahiye.8. Blog Or Design Par Bhi Dhyan Dein.
Apka Blog Ka Design Kafi Important Cheej Hai. Ese Apki Quality Ka Pata Chalta Hai, Ki Ap Kitne Professional Hain, Esliye Apko Ek Ache Blog Template Ko Choose Karna Chaiye, Jo Kafi Sundar Or Professional Sa Lage.9. Content Type.
Google Ye Dekhta Hai Ki Ap Apne Blog Par Kis Tarah Ka Content Post Kar Rahe Hain. Google Adsense Kabhi Bhi Ashlil Kahaniyon, Adult Videos, Nashile Products Wali Websites Ko Approval Nahi Deta.10. Apka Domain Name.
Ab Google Blogspot, Or WordPress.com, Domain Blogs Ko Approval Nahi Deta Hai, Apke Pas Apna Domain Name Hona Chahiye.11. Remove Other Ads.
Agar Ap Dusre Companies Ki Ads Use Kar Rahe Hain, To Usse Kuch Time Tak Stop Kar Dein, Jab Tak Ki Apka Adsense Approve Nahi Kar Liya Jaye. Waise To Google Apko Dusre Ads Ke Sath Adsense Ki Approval Deta Hai, But Fir Bhi Purane Adds Hata Lena Hi Achaa Maana Jaata Hai.12. Paid Traffic.
Google Adsense Blog Par Paid Traffic Se Nafrat Karta Hai, Or Agar Apko Apne Blog Ke Liye Adsense Approve Karwana Hai, To Ye Dhyan Rakhiye Ki Apka Traffic Jada Tar Organic He Hona Chaiye.Friends ummid hai apko hamara post Hindi Blog Ke Liye Google AdSense Approval Se Pehle Ye Kadam Apnaye pasand aaya hoga Adsense approve se related agar apko koi problem aata hai to aap hame comment kare aapki problem jarur solve karunga.Aise hi achhe achhe post padhane ke liye Indianwinners ke blog feed ko subscribe jarur kare sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
Hindi Blog Ke Liye Google AdSense Approval Se Pehle Ye smart tips Apnaye-2017
Reviewed by Seo Master
on
April 04, 2017
Rating:
No comments: