About Kapil Sharma
Hello friends Welcome to Indianwinners.Friends aap ko pata hoga ki hamare website per apko indian star profile me top logo ke jivan se related apko short me jankari provide ki jati hai aaj ke star profile me jane mane umda comedian Kapil Sharma ke bare me details se janenge.Iss Post me india ke famous comedian "Kapil Sharma" ki biography hain. kapil sharma inhe kaun nahi jaanta "THE KAPIL SHARMA SHOW" to har ghar me chalta hain. saturday or sunday ki night ko sabko hasaane wale kapil sharma india ke sabse popular comedian ban chuke hain. Unke sense of humor ke sabhi deewane hain.
Toh aaiye jaante hain kapil sharme ke Amritsar se mumbai tak ke safar ke baare me.
Also read-
1-Up cm Aditya Nath Yogi Biography in hindi
2-Top Actor Varun Dhawan Biography in hindi
Short Biography of Top comedian Kapil Sharma
- Born - In 1981 Amritsar [ punjab ]
- Nationality - Indian
- Proffesion - Actor, Comadian, Singer, Producer,Television presenter
- Famous For - "Comedy Night With Kapil" Laughter show
- Active Year - From 2007 se ab tak
- All shows And Part - Latest Show "The Kapil Sharma show", the great indian laughter challenge,chhote miyan, ustadon ke ustaad, comedy circus, jhalak dikhla jaa 6, kaunbanega crorepati 8, farah ki dawat, DID, indian idol junior
- Movies Kis kis ko pyaar karoon,Upcoming movie-Firangi (2017)
Awards
- Indian television academy award for best comedy actor 2012
- CCN-IBN indian of the year for entertainer of the year 2012
- BIG star entertainment award for most Entertaining comedy show 2013
- Star guild award for best comedy show 2014
- Sony Guild Film Award for Promising Debut male 2015
Kapil Sharma Ke Shuruaati Din
1997 me Punjaab ke Amritsar me middle family me janme Kapil Sharma ke father punjaab police me head constable the 2004 me cancer ki vajah se new delhi ke safdurjung hospital me unka nidhan ho gya, Aur unki mother house wife hain. unke ek bhai Ashok Sharma, and ak bahan Pooja Sharma hain.
Kapil Sharma Career
8 saal tak lagataar struggle karne ke baad bhi unhone haar nahi maani or unki haar nahi manne or success paane ki jeed hi thi ki unhe ek show me kaam karne ke mauka mila jiska naam tha Hasde Hasaande Ravo jo MH One channel par aata tha yaha punjabi language me comedy ki jaati thi. yaha par first prize jeet kar unhone apni pehchan banayi.
2007 me Mumbai aakar "The Greate Indian Laughter Chellenge " me kaam karne tak ve pahle hi 9 or reality show jeet chuke the. Unhe iss show me first price mila or isi ke sath 10 lakhs prize money bhi mili. or logo ke bich unke bahut hi achchhe comedian ke roop me pahchan hone lagi.
iske baad unki life me bahut badlaav aaye, unhone Sony Entertainment Television's par aane wale show "Comedy Circus" me part liya or usi show ke lagataar 6 series tak unhe first prize mila. iske baad "Jhalak dikhla Jaa Season 6" Chhote Miyan, Ustaado ke Ustaad Shows host kiye or unki pehchan comedian ke sath sath ek behtrin host ke roop me bhi hone lagi.
"Comedy Night With Kapil Show Ki Shuraat"
Comedy night ki shuruaat 2013 me hue. iss show ko unhone khud produce kiya ye Indian television ka aisa first show tha jo kisi dusre show se milta jhulta nahi tha, ye drama theme par base tha, sath hi iss show me apne class mate friend Chandan Prabhakar ko bhi saamil kiya.
iss show ne bahut hi kam time me pure world me apni pahchan banayi, or kapil shrma pure world me famous ho gye.
Iss show ki khasiyat thi ki yaha har koi apne pasand ki celebrity se direct baat kar sakta tha, unke sath dance kar sakta tha, isi show se kapil sharma ke sense of humor ko duniya ne pahchana.
2016 me"Comedy Night With Kapil" show band Kar diya. or isi show ke chalte unhe bahut saari filme offer hue, hosting karne ka offer or kai saare famous awards se bhi sammanit kiya gya.
Filhal unka new Show ''The Kapil Sharma Show'' continue chal rha hai.Kapil hal hi me apna new kiredar mr Arrora logo ko khub pasand aa rha hai.
image sorce-ibn7 |
All TV Shows
"The Kapil Sharma show", the great indian laughter challenge, chhote miyan, ustadon ke ustaad, comedy circus, jhalak dikhla jaa 6, kaun banega crorepati 8, farah ki dawat, DID, indian idol junior
8 Aug 2015 me ve "Anupam khel" show me guest ke roop me aaye jaha unhe pahli baar emotional side ko logo ke sath share kiya.
Awards
- Indian television academy award for best comedy actor 2012
- CCN-IBN indian of the year for entertainer of the year 2012
- BIG star entertainment award for most Entertaining comedy show 2013
- Star guild award for best comedy show 2014
- Sony Guild Film Award for Promising Debut male 2015 n more
Kapil Sharma Biography In English
Maine apne website indianwinners per online paisa kaise kamaye aur free me blog ya website kaise banaye se related bahut sare post already publish kar chuka hu aap hamare aise hi any interesting blog read kar sakte hai.Friends mera ek youtube channal hai jisaka nam ''Tech 20 With Shubham'' hai aap hamare channal ko subscribe karna na bhule mai yha per daily new video lata hu jo tech se related hota hai wo bhi hindi me so subscribe my channal if u want.
Friends "Kapil Sharma Biography In Hindi" aapko hamare ye article kaisa laga hamei commant karke batahiye or ise apne friends ke sath social sites facebook, google+ par jarur share kare sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
Kapil Sharma Motivational Biography In Hindi
Reviewed by Seo Master
on
April 07, 2017
Rating:
No comments: