How to increase earning from google adsense 10 eassy tips
Hello friends Welcome to Indianwinners.Aaj sabhi blogger chahte hai. Ki unki google Adsense ki income badhe isliye vah nayi nayi trick apnate hai. Lekin phir bhi unki Adsense nahi badhti hai. Or lagbag aaj sabhi blogger google Adsense se income kamate hai. Or kuch hi blogger jinka Adsense account verify nahi hota ve kisi or jagah se income lete hai.
- Friend maine apne blog per Guest post allow kar di hai aapko agar apko hamare website se Do-Follow link chahiye to Gest post Rule ko Read kare.
Or google Adsense income ka number 1 source hai. blogger ke liye ydi rule ka ache se palan kare to ise bahut jyada income kamai ja sakti hai. Par kuch shopping blogger par affiliate marketing ka upyog karte hai. Par jyada to google Adsense ka hi upyog karte hai .To mai aaj aapko kuch trick bataunga jis se aap apni kamai ko badha sakte hai.
1. Badiya content post kare
Aap jab bhi koi post kare to sabse pahle dhyan de ki aapki post me ache se ache keyword ho or post jyada se jyada or achi jankari dene ki kosis kare kyonki jitni achi or badi post hogi utni hi Add ki CPC hogi or Adsense aapki post me di gyi jankari ke hisab se Add dikhata hai.1. Badiya content post kare
Isliye aap kosis kare jankari asi ho jo Visitor ko jyada se jyadavpasand or aap kosis kare ki post me kam se kam 1000 word ho ache word ho jis se Adsense high capacity wali add dikha sake or aapka blog aapke post ke cantent ke hisab se hi performance dikhata hai. To kosis kare ache se ache cantent dale jis se aapki earning badhegi.
2-Google Adsense Search Box Lagaye
Aap apne Adsense me search box lagaye yah aapki blog ki Adsense ki earning ko badhane me Importan hai. yah aapke blog ki search rating bhi batata hai.Jiske hisab se aap apne blog me search ke hisab se cantent dal sakte hai.Search box se jab koi visitor search se aapki website par aata hai. To vah Add par chahe click na kare par aapke page ki RPM badheji jarur or is se aapki Adsense ki Capacities or aapki Adsense earning bhi badhegi.
3-Sasti Ads. website ko Block kare
Aap apne blog se un Add ko block kar de jinki CPC bahut kam hai.Jin par clikckarne se aapki bahut earning hoti hai. Or jis add ki CPC jyada hai. Un Add ko lagaye asi bahut si add hoti hai. jinse bahut kam earning hoti hai. Or kuch Add asi hoti hai.Jinki CPC bahut jyada hoti hai. or unse bahut jyada earning hoti hai.Or Adsense par iska option hota hai. ki aap kon si Add lagana chahte ho or kon si ko block karna chahte ho to aap achi CPC wali Add hi rakhe.
4-Google Search Se or badhiya desho ke visitor aana
Aapko bata de ki India me Ads par click ke aapko bahut kam rupee milte hai. Or foreigner click jaise USA ya UK se hota hai. to uske kai % jyada rupee milte hai. isliye aap kosis kare ki is parkar ki post kare jo India ke sath sath foreigner me bhi search ho sake or aapke blog ka foreigner Traffic badhe.Ab dikkt yah hoti hai. ki hindi ki post America me to nahi chalegi to aap asa kare ki ya to blog ko is tarah tayar kare ki usme hindi English dono ke option ho ya phir kuch English ke word ka upyog kare jo ki hindi wale user ko bhi samaj me aa jaye.
5-Ads. Size Or uski jagah
Hamare google Adsense income me Ads ka size or unki Location ka bahut Important Contribution hai. Kuch Ads size or unki Location par dhyan nahi dete jis se unke blog par jyada visitor hone par bhi unki Adsense income kam hoti hai. Aapko bata de ki Adsense ki CPC bhi Ads ka size or unki Location ke hisab se hoti hai.
Aapko bata de ki aapke blog ek size ki Ads honi chahiye ydi aapke blog me 3Ads chal rahi hai. To unme ek Ads 300*600 ki honi chahiye or baki 2 ads 250*300 or 336*228 honi chahiye. Ydi aap size ka dhyan nahi dete to aapki Ads ki CPC kam hi rahegi.
Or Ads ki location bhi bahut important hoti hai. Aap apniAds par jyada se jyada click chahte to aap post ke uper yani thodi post content dalke uper hi Ads ko lagaye jis se visitor ki vision sabse pahle vahi pade or post load ho itne Ads hi visitor ke samne rhe ydi click jyada to kamai bhi jyada hogi.
6-Link or photo wali Ads lagaye
Ads do parkar ki hoti hai. ek to image and or ek link hai. Kuch blogger link ads jyada pasand karte hai. unka manna hai.Ki image Ads ki CPC kam hoti hai. par unko yah baat samaj nahi padegi ki image Ads se bhi bahut jyada earning ki ja sakti hai. Image Ads ka yah sabse bada fayda hota hai ki visitor ko Attracts karti hai.
Or aapko bata de ki dono Ads hi bahut badiya hoti hai.or link Ads blogger isliye pasand karte hai. Kyonki inke uper bahut jyada hote hai. par aapko bata de ki google Adsense ko company jitne paise Ads ke liye deti hai. uske hisab se hi Adsense aapko paise deta hai. To company apni ads ka banner lagvati hai.
Or jis se Adsense hame banner wali image Ads ke jyada rupee deti hai. Isliye aap image ads or ek Ads ko Enable karke rakhe jis se aap jyada se jyada earning parapt kar sake.
7-Post ko Youtube par video bana ke share kare
Agar aapko video banane ka shokh hai. To aap apni post ki video banakar YouTube par upload kar sakte hai.Computer se Youtube par video upload kaise kare or Mobile se Youtube par video upload kaise kare jis se aap dugni kamai kar sakte hai. Ek to aap apne blog se or dusra youtube channel se kyonki youtube channel ki kamai bhi Adsense se hi milti hai. Or aapko koi dusra account bhi nahi banana padega aapki dono side ki kamai ek hi account me aayegi yah bhi dekhe Youtube par video upload karke paise kaise kamaye .
8-Custom Channel ka istemal kare
Custom Chanel Adsense kijankari ke liye bahut hi upiyogi channel hai. Yah hame Ads ki jankari deta hai. Yah ham aapko yah batayege ki kon si Ads se kitni kamai hoti hai. isliye bahut importante hai.yah hame batata hai. ki Ads ki performance kaisi hai. Yah sabhi Ads ki CPC, eCPM ,CTR,ki jankari deta hai. jis se ham apne hisab se Ads ko badal sake.
Or aap Custom Chanel se Ads ki jankari leke yah dekh le ki kis Ads ki CPC kam hai. Or usko block karke achi or jyada CPC wali Ads ko laga sakte hai. Jis se aapki Adsense ki CPC bhi badh jayegi or ydi aapki Adsense ki CPC badhegi to aapki earning bhi bahut jyada hogi.
9-Responsive or Customize Ads. lagaye
Agar aap apne blog se adsense ki kamai ko jyada karna chahte hai.To aapko apne blog ko is tarah design ke hisab se Ads ko customise kar sake or we Ads aapkeblog ke design ke anusar ho or is se aapke post me ads par jyada se jyada click honge.
Iske liye aapko Ads isi jagah show kare ki visitor ki najar pade or jyada se jyada click ho or jyada earning hogi par aap ads ko itna na badal de ki Ads aapke content me hi mil jaye.
10-Ads Ko badal badal kar lagaye
Jab ham website par Ads sirf ek jagah laga ke chod dete hai. to visitor ki aatat ho jati hai. Ads ko wo ignore karte hai. Isi liye Ads ko alag alag jagah lagake dekhe taki aapke visitor ko Ads dikhati rahe or aapki earning bhi jyada ho jaye.
Share is SEXY
मैंने अपने वेबसाइट indianwinners पर ऑनलाइन पैसा कैसे कमाए और फ्री में blog ya website कैसे बनाये से related बहुत सारे post already publish कर चूका हु आप हमारे ऐसे ही अन्य interesting ब्लॉग read कर सकते है.Friends मेरा एक youtube चैनल है जिसका नाम ''Tech 20 With Shubham'' है आप हमारे चैनल को subscribe करना न भूले मै यहाँ पर daily नई video लाता हु जो टेक से related होता है वो भी हिंदी में so subscribe माय channel if u want.
ALSO READ-
अगर आपको यह पोस्ट information के taur पर useful रहा हो तो आप please इसे सोशल media पर अपने friend को share जरूर kijiye sath me aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
Thank you....Regards from Indianwinners
Google Adsense ki Earning badhane ke 10 badiya Tips
Reviewed by Seo Master
on
April 11, 2017
Rating:
No comments: