Google Analytics Performance Reports Check Karne Ki Top Tips Hindi me-indianwinners
Hello Friends Welcome to INDIANWINNERS.Maine apne pichale post me bataya tha गूगल वेबमास्टर टूल/सर्च कंसोल क्या है फुल जानकारी Aur aaj mai apko batane wala hu Google Analytics Me Performance Reports Check Kaise Kare best Tarika,Agar aap google analytics service use karte hai to kya aapko analytics ko use karne ki puri jankari hai ya fir aap iske bare me basic information rakhte hai aur google analytics ke bare me jyda janna chahate hai to ye post aapke liye hi hai. Kyoki mai yaha aapko google analytics par site performance reports check karne ki Best and important tips bta raha hu. Jo aap sab ke bahut kaam aayegi.INDIANWINNERS website per seo toppic(Blog/Website ko google me high rank) se related post avilable hai agar aap apne website per jyada traffic chahte hai to yah guide padhana na bhule.
1-SEO in Hindi – 10 Best SEO Tips in Hindi [Rank Your Site Faster]
Google analytics hume apni website ki performance report btata hai. Is par hum apni site ke traffic performance dekh sakte hai. Ye ek matra tool hai jo aapko site ki performance details sabse better tarike se btati hai.Kyoki Ye ek google ki hi service hai.
Also Read-Generally, ब्लॉग ki SEO करने के 2 तरीके है. Off-page SEO and On-page SEO
Off-Page SEO – इसके बारे में जानने के लिए आप Off-page SEO se blog ki traffic kaise badhate hai, पोस्ट padh सकते है.
Google analytics tool par aap real time, audience, behavior, adsense, organic traffic, traffic source, bounce rate, location, mobile performance, active users, exit rate, referral traffic, devices and browsers, site content and other bahut se features par apni site ki report check kar sakte hai. Jinse aapko bahut kuch jaruri bate pata chalti hai.
Read More-
Google Analytics Par Site Ki Performance Reports Check Karne Ke Best Tarike
Dosto mai aapko google analytics performance reports check karne ki kuch badiya tips bta raha hu jo aapke google ki is service ko use karne ke experience ko kafi better bana degi.
1. Traffic Acquisition Report
Agar aap advertising program jaise google adsense, bidvertiser, chitika, infolinks and other per click par pay karne wale program use karte hai to aapke liye ye pata karna bahut jaruri hai ki aapki site par organic traffic kitna aata hai.
Jyada tar adsense se achi earning karne ke liye aapke blog par search engine se jyada traffic hona chahiye. Analytics ki is report me aap apni site ke traffic source dekh sakte hai. Agar aapki site par SEO friendly content hoga to aapko organic traffic mil raha hoga or aisa nahi hai to aapko SEO par work karne ki jarurat hai.
Go to google analytics >> Acquisition >> Overview:
Is report me aap Organic Search, Direct, Referral, Social, Email se aaya traffic check kar sakte ho. Jisse aapko apni site ki traffic receive karne ki information milegi or aap apni site ke liye behtar soch sakte hai. Iske alawa bhi aap All Traffic, Channels, Treemaps, Source/Medium and Referrals ki report bhi jarur check kare.
ALSO READ-
2. Organic Keyword Analysis Report
Analytics ka ye feature sabse jyada important hai. Isme aapki site par search engines me kis keyword se kitna traffic mil raha hai ki informaton milti hai.
Google search se traffic milna achi bat hai but 2012 se google ne keywords par jyada better service deni shuru kar di tab se only quality keywords wali post hi google me first page par show hoti hai.
Organic Keyword Analysis Report
Yaha par aap ye choose kar sakte ho ki aapko kis keyword se traffic nahi mil raha hai or aapko next post kis keyword se related likhni chahiye.
Mostly, bahut se blogger ke pas new post likhne ke liye topics nahi hote hai. Mai aapko suggest karunga ki aap yaha par keywords check kare or jisse aapko kam traffic mil raha hai usse related post likhe.
3. New Vs Returning Visitors
Aapki site par bahut sare visitors aate hai bahut achi bat hai. But isse bhi achi bat hoti hai logo ka aapki site me interested hona. Iske liye aapko ye jarur pata hona chahiye ki new people aapki site ko kitna like karte hai or regular reader aapki site ko kitna pasand karte hai.
Go to analytics >> Audience >> Behavior >> New vs Returning
Yaha par aap mere site ka screenshot dekh sakte hai or andaza laga sakte hai ki mere blog ko new and return visitors kitna pasand karte hai. Google analytics ki ye report aapko btati hai ki kitne percentage log aapki site par wapis aate hai or kitna time aapki site ko use karte hai. Isme avg, session duration time bahut important hota hai.
Usually, New visitor se jyada return visitors ki performance important hoti hai. Kyuki isse aapko ye clear ho jata hai ki aapke daily reader aapki site ko real me kitna pasand karte hai or site par per day kitna time post content read karte hai. Agar aapke blog par return readers kam hai to aapko iske reason ka pata kar lena chahiye.
4. Mobile Performance Report
In fact, Mobile ab itna important ho gaya hai ki google search ne bhi mobile friendly websites ko top postion dena shuru kar diya hai. Agar aapki site mobile friendly nahi hai to aapko google se quality traffic milna mushkil hai.
Mera yaha par google analytics par mobile performance report check karne ka matlab ye hai ki isse aapko is bat ki jankari milti hai ki aapki site kis type ke mobile me ache se work kar rahi hai or kis type ke mobile par aapki site jyada open hoti hai.
Go to analytics >> Audience >> Mobile >> Overview:
Isse aapko ye pata chal jayega ki aapki site kis size ke screen wale mobile me sahi work nahi kar rahi hai. So aap us size ke liye aapki site ko optimize kar sakte ho.
Iske alawa bhi aap all mobile devices and browsers ki report check kare. Inse aapko pata chalega ki aapki site kis device me good work kar rahi hai or kis browser me sabse jyada open ki jati hai. Isse aap site ke bounse rate, daily time on site ad other ranking ko increase kar sakte ho.
5. Landing Pages Report
Aapki site par sabhi pages par user visit karte hai. Jinme se kuch direct aate hai or kuch search engines se, kuch social media se or kuch other source se aate hai. Is report me aapko apne blog ki popular post se le kar flop post tak ki jankari milti hai.
Go to analytics >> Behavior >> Site content >> Landing pages
For example, Sochiye aapke blog par total 500 posts hai or unme se 50 posts and pages ayse hai jin par 0% ya bahut hi kam traffic aa raha hai to unka aapki site par kya fayda. Is report me apni un posts ka pata kijiy or unme jaruri optimizing kijiye jis se aapko un post se bhi kuch benefit mil sake.
Sath hi aap apni popular post ki performance report check karke ye pata kar sakte hai ki aapke reader aapka kounsa content jyada pasand karte hai or kis content ki bounce rate sabse kam hai. Jis post ki bounce rate kam hogi aapke visitor use sabse jyada time tak padhte hai. So usse related or bhi article likhe.
6. Social Traffic Report
Sabhi jante hai ki kisi bhi site or blog ke liye social traffic bahut jaruri hota hai or sabhi apne content ko social sites par share bhi karte hai. But kya aapne pata kiya hai ki aapko kis social site se kitna traffic mil raha hai. Agar nahi to analytics tool par aap iska pata laga sakte ho.
Go to analytics >> Acquisition >> Social >> Overview
Is report me aapko apni site par sabhi social traffic source facebook, google plus, twitter and other sabhi ki jankari milti hai. Jisse aapko ye pata karna aasan ho jata hai ki kis social sites par traffic kam mil raha hai. Uske bad aap us social sites par apni site ki sharing activity change kar sakte ho.
7. Bounce Rate vs Exit Rate Report
Bounce rate ka matlab hota hai ki visitors aapki site par aa kar kitne time rukte hai or kitne visitor aapki site par aate hi site ko chod (leave) jate hai. Iske bare me maine Bounce Rate Kya hai, Bounce Rate ko Kam kaise Kare post me details se btaya hai. 'Exit Rate' ka matlab hota hai ki user aapki site ko leave karne se pahle ek page ko kitni bar open karte hai.
Go to analytics >> Behavior >> Site Content >> All Pages
Ye report aapki site ki bounce rate and exit rate ke beech (between) ka comparison btati hai. Is report ko aap apni site ke low engagement and detect UX problems wale pages ka pata lagane me use kar sakte ho.
For example, Agar readers aapke kisi page ko bar bar open karte hai ya fir pages open hone se pahle hi leave kar jate hai to iska matlab hai ki aapki site ke us page me koi mistake jarur hai. Ya to usme bahut sare advertisment hai ya fir koi having content, images hai jo loading hone me bahut time lete hai ya fir wo page sahi se open nahi hota hai.
FEEDBACK,
Google analytics sabhi online marketers ke liye ek essential analytics tool hoti hai. But sabhi ko ise sahi se use karne ki information nahi hai. So bahut se newbie peoples analytics ko ignore karte hai. Jabki ye aapki site ko behtar banane me aapki jitni help kar sakti hai utni koi or tool nahi kar sakti.
Mai aap sabhi ko google analytics service use karne ki advice deta hu. I hope isse aap apne kisi bhi online business like blogging ko or jyada better bana sakte ho. Ye tool na sirf aapki site ki performance report btati hai balki aapko future ke liye no.1 ideas bhi deti hai. Agar aap isse ache se istemal karna sikh le to ye aapke bahut kaam aa sakti hai.
ALSO READ-
6-Hindi SEO tips- Keyword research jaruri hai?-
Mere experience se google analytics aapko new post likhne, visitors ki pasand pata karne, Content search rank or quality pata karne, site ko optimize karne and other bahut se kaamo me aapki help kar sakti hai.
Maine apne website indianwinners per online paisa kaise kamaye aur free me blog ya website kaise banaye se related bahut sare post already publish kar chuka hu aap hamare aise hi any interesting blog read kar sakte hai.Friends mera ek youtube channal hai jisaka nam ''Tech 20 With Shubham'' hai aap hamare channal ko subscribe karna na bhule mai yha per daily new video lata hu jo tech se related hota hai wo bhi hindi me so subscribe my channal if u want.
Share if Sexy.
Search Term-seo,seo guide,search engine optimization,seo guide for beginners
Maine apne website indianwinners per online paisa kaise kamaye aur free me blog ya website kaise banaye se related bahut sare post already publish kar chuka hu aap hamare aise hi any interesting blog read kar sakte hai.Friends mera ek youtube channal hai jisaka nam ''Tech 20 With Shubham'' hai aap hamare channal ko subscribe karna na bhule mai yha per daily new video lata hu jo tech se related hota hai wo bhi hindi me so subscribe my channal if u want.
Share if Sexy.
ALSO READ-
अगर आपको यह पोस्ट information के taur पर useful रहा हो तो आप please इसे सोशल media पर अपने friend को share जरूर kijiye sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
ALSO READ-
अगर आपको यह पोस्ट information के taur पर useful रहा हो तो आप please इसे सोशल media पर अपने friend को share जरूर kijiye sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
ALSO READ-
Search Term-seo,seo guide,search engine optimization,seo guide for beginners
गूगल एनालिटिक्स क्या है?गूगल एनालिटिक्स का यूज़ कैसे करे-Google Analytics
Reviewed by Seo Master
on
May 10, 2017
Rating:
No comments: