#Hindi What is Google Webmaster Tools full Information? Add Site Map In Google Search Console
Hello friends Welcome to INDIANWINNERS.Maine apne pichale post me bataya tha ki #HINDI How To Invite All Friends To Like Page On Facebook (Single Click) – 2017 aur aaj mai batane wala hu What is Google Webmaster Tools, How To Submit Sitemap To Google Search Console in hindi.Jab bhi aap koi new website launch karte hain to aapko apni site ka sitemap Google and Bing jaise search engine me add karna jaruri hota hai.
INDIANWINNERS website per seo toppic(Blog/Website ko google me high rank) se related post avilable hai agar aap apne website per jyada traffic chahte hai to yah guide padhana na bhule.
Sitemap Submit karne se search engine aapki website ke posts, pages, images ko index karte hain aur search results me show karte hain.Google world ka sabse bada search engine hai aur hamari site par 80% se jyada traffic google se hi aata hai. Isliye aapko apni site ka sitemap google me add karna bahut jaruri hai.Aaj hum baat karenge ki Google search console me apni wordpress/Blogger/Blogspot website ka sitemap kaise submit kare.
Sitemap Kya Hai ? Hindi Me
Google site map ek tarah ki XML file hoti hain jo google ko ye batati hain ki aap konsa article, post rank karwana chahte hain. jab bhi koi google me search karta hai toh ye site map ki xml file result show karwati hain. or jiska contank popular hota hain wo sabse upar show hota hain.
Sitemap Ko hamare data meta ka bhi dhyan rakhta hai jaise last me hamne page,post,blog kab update kiya tha, aur isi se google search ko hamare blog,page,tag,post,keyword,etc ka bare me pata chalta hai. Is ka format – XML,HTML, Hota Hai.
Aap google ko image ,video,mobile ke bare me batane ke liye datameta ka use kar sakte hai.
Webmaster tool kya hai/What Is Google Search Console
Webmaster tool ko search console bhi kahte hai jo hmari website ya blog ke liye hota hai. Ishmein hum apni site se related har information jaise ki crawl search rank, errors , top performing pages, low performing pages, rank etc dekh sakte hai aur manage kar sakte hai lekin new bloggers ko ishki jaankari nahi hoti hai ya hoti hai to sirf sitemap tak hi simit ho jaate hai wo ishke baare mein puri tarah se nahi jaante hai.
New bloggers ke sath hmesa se yahi problem rahti hai ke wo har content ko english mein search karte hai ( special new blogger) jo ki professional ne describe kiya hua hota hai wo apne trike se ish baare mein btate hai lekin ushko samjna har kisi ke bas ki baat nhi hai so aap ish post mein webmaster tool ki basic information ke baare mein janenge aur sath hi kuchh useful information bhi dee jaayegi jo aap ke bahut kaam aayegi aur aap apni site ke data aur ranking factor ko samaj sakoge using search console.
Webmaster/search console tool kya hai ?
Webmaster tool definition basic janakari ke liye aap tool mein available har option ka pahle basic dekhe aur phir aage bahdte huye puri information ko collect kar apne blog mein apply kare. Yaha aap webmaster tool google ke baare mein janenge.
- Search Appearance
- Search Traffic
- Google Index
- Crawl
Jab hum google webmaster tool home page mein jaate haito hume ye 4 option show hote hai, jinke baare mein mai aap ko bta rha hu.
Read More-
1-Search Appearance
Search appearance ka naam sunakar aap thoda bahut samaj hi gaye honge, yaha aap ko 6 option milte hai.
Structured Date: structured data mein template jo ki humne apne blog mein lgaya hua hai ushke baare mein jankari milti hai. Aap ke template mein errors aur basic structure ke baare mein jankari hasil kar sakte hai.
Rich Cards: webmaster tool blogger mein ye feature allow nhi karta hai. So ishe leave kare.
Data Highlighter: webmaster tool google mein hmari site ko kis prakar highlight karta ushki basic jaankari ke liye aap data highlighter feature ka use kar sakte hai, yaha aap ko pta lagega ki aap ki site google mein kaise show hoti hai. Sab se most baat to aap ye jaan le ki yaha aap apne blog post mein iab search kare tab kya show hota jo highlight hua ho, ushko change kar sakte hai aur apne blog attractive bana sakte hai (attractive mean aap apne post ke highlight hone waale words ko adjust kar sakte ho)
HTML Improvement: yaha aap apne blog ke metatag description title tag, aur non-indexable pages ke baare mein janenge.
Sitelinks: ye aise links hote hai jo search karte waqt automatically generate ho jaate hai. Agar aap kisi page ko show nhi karwana chahte hai to aap sitelink ke niche duye huye box mein (jo page show ni karna chahte) ushka link daale aur “Demote” par click kare. Now its done.
Accelerate Mobile Pages: Ish feature ko aap apni site ke mobile pages ki speed bdhane ke liye use kar sakte hai jo ki SEO mein bahut hi faydemand hai.
Off-Page SEO – इसके बारे में जानने के लिए आप Off-page SEO se blog ki traffic kaise badhate hai, पोस्ट padh सकते है.
2-Search traffic
Search traffic mein aap apni website ke search analytic, links jo aap ki site mein add hai aur internal links jo aap ne build up kiye ushki jankari milegi. Ish feature ko aap week mein ek baar jarur check kare aur apni site ke moujuda situation ke baare mein jane. Ish ke alawa search traffic option mein aap apni site ko target country ke liye bhi set kar sakte ho. Aap jis country se traffic paana chahte hai ushko yaha set kar de. Lekin dhyan dene waali baat ye hai ke ish feature ka tabhi use kare jab aap ki site par other country se jyada traffic aata ho ya aap seo ke baare mein puri tarah se jaante ho otherwise ishe leave kar de.
3-Google index
Aap ki site google mein kis basis par index ho rahi ho ish baare mein jaanne ke liye aap ish feature ka use kare ye aap ko show karega ki aap ki post mein kon se keywords aap ko highrank dila rahe hai. Ishke alawa google index webmaster tool google mein aap kisi content ko block karne ke baare mein jaankari le sakte hai aap ki site se konsa url remove hua hai ya konsa url remove karna chahiye ye bhi aap yaha jaan sakte hai.
4-Crawl
Webmaster tool google mein aap crawl feature mein aap ko total 6 option show honge.
Crawl Errors: Yaha aap apni site ke errors check kar sakte ho. Site errors mein aap ko 2 option show honge “Desktp” aur “Smartphone” aap ki site ke konse version mein errors hai ish baare mein aap yaha jaanoge. ab baat karte hai site ke errors ko kaise remove kare ? site erros ko remove karne ke liye aap “Priority” ke just saamne waale box par tik kare ab “Marked as fix’ par click kare. you are done.
Crawl Status: crawl status aap apni site ke google mein crawl hone pages ki jankari le sakte ho. Aap ke per day kitne pages crawl ho rahe hai aur kitna data crawl ho rha ish baare mein bhi jaanoge.
Fetch Google: fetch as Google option bhi aap ke bahut kaam ka hai. Maan lijiye aap ne ek new post daala aur wo 2 ya 3 din tak google mein show hi naa kare ya search mein naa aaye to aap kya karoge ? ye feature ishi ke liye aap apni new blog post ko google mein 2 minut mein show ya crawl krwa sakte ho. ishke liye aap ko apni new post ka url copy karna hoga aur baad mein webmaster tool google ke crawl option mein fetch as google ko open karna hoga aur yaha aap ‘www.xxxx.com/xyz’(for example) ko submit karna hoga. submit karne ke liye aap ko post url ka “xyz’ part hi enter karna hai baaki ka aap cut kar de kyu aap ki site ka sitemap already submit hai so ushko sath mein naa rakhein.
Robot.txt Tester: yaha aap apni site ke currunt mein submit site ki jaankari le sakte ho.
Sitemaps: yaha aap site mein kya kuch hai jaise ki submit pages unki jankari le sakte ho. Ishke alawa site mein submit url aur indexed url ke baare mei bhi jaanoge.
URL Parameters: URL parameters ke baare detail se padhe aur ushke baad hi ish feature ko use kare.
7-How To Create Backlinks Yourself-Seo tips for begganer
FEEDBACK
aap ne webmaster tool google ke baare pdha aur humne yha par webmaster ki basic janakari li agar aap ne abhi tak webmaster tool ka use nhi kiya to aap ish post ko detail se pdhe aur kuchh basic chijo ko jankar apni site ko aur indexable bnaye jis se aap ko aur jyada organic traffic hassil hoga. wemaster tool google ke baare mein jan na aap ke liye bahut hi jaruri hai kyu ke aap ki site bina webmaster tool ke kucch bhi nhi hai. so pahle aap ko webmaster ke baare mein janana hoga.
Share if Sexy.
5-450 Directory Submission Sites List High PR of 2017
Maine apne website indianwinners per online paisa kaise kamaye aur free me blog ya website kaise banaye se related bahut sare post already publish kar chuka hu aap hamare aise hi any interesting blog read kar sakte hai.Friends mera ek youtube channal hai jisaka nam ''Tech 20 With Shubham'' hai aap hamare channal ko subscribe karna na bhule mai yha per daily new video lata hu jo tech se related hota hai wo bhi hindi me so subscribe my channal if u want.
ALSO READ-
अगर आपको यह पोस्ट information के taur पर useful रहा हो तो आप please इसे सोशल media पर अपने friend को share जरूर kijiye sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
अगर आपको यह पोस्ट information के taur पर useful रहा हो तो आप please इसे सोशल media पर अपने friend को share जरूर kijiye sath me aap hamare youtube channal ko subscribe kar le aur aap hamare blog feed ko bhi subscribe kar sakte hai yah bilkul free hai.
Thank you....Regards from Indianwinners
Search Term-seo,seo guide,search engine optimization,seo guide for beginners
गूगल वेबमास्टर टूल/सर्च कंसोल क्या है फुल जानकारी-seokaise.blogspot.com
Reviewed by Seo Master
on
May 09, 2017
Rating:
No comments: